Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai dil na kar tu fikr paDega bala ke hath

Shaikh Zahuruddin Hatim

ai dil na kar tu fikr paDega bala ke hath

Shaikh Zahuruddin Hatim

MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim

    ai dil na kar fikr paḌegā balā ke haath

    ā.īna ho ke ke lag ab dilrubā ke haath

    paiġhām dard-e-dil mire ġhuncha-lab satī

    pahuñchā sakegā kaun magar duuñ sabā ke haath

    maiñ ab gila jahāñ meñ begānoñ siiñ kyā karūñ

    jiinā huā muhāl mujhe āshnā ke haath

    denā nahīñ hai shīsha-e-dil sang-dil ke ta.iiñ

    diije agar ye dil to kisū mīrzā ke haath

    āzād ho rahā huuñ do 'ālam ke qaid suuñ

    miitā lagā hai jab satīñ muj be-navā ke haath

    tābe' razā us azal siiñ kiyā mujhe

    chaltā nahīñ hai zor kisūñ qazā ke haath

    'hātim' umiid haq pe na rākhe to kyā kare

    mauqūf hai milāp sajan ḳhudā ke haath

    ai dil na kar tu fikr paDega bala ke hath

    aaina ho ke ja ke lag ab dilruba ke hath

    paigham dard-e-dil ka mere ghuncha-lab sati

    pahuncha sakega kaun magar dun saba ke hath

    main ab gila jahan mein beganon sin kya karun

    jina hua muhaal mujhe aashna ke hath

    dena nahin hai shisha-e-dil sang-dil ke tain

    dije agar ye dil to kisu mirza ke hath

    aazad ho raha hun do 'alam ke qaid sun

    mita laga hai jab satin muj be-nawa ke hath

    tabe' raza ka us ki azal sin kiya mujhe

    chalta nahin hai zor kisun ka qaza ke hath

    'hatim' umid haq pe na rakhe to kya kare

    mauquf hai milap sajan ka KHuda ke hath

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now