ai falak chahiye ji-bhar ke nazara hum ko
ai falak chāhiye jī-bhar ke nazāra ham ko
jā ke aanā nahīñ duniyā meñ dobāra ham ko
kabhī iimā na kināya na ishāra ham ko
kam-nigāhī ne tirī jaan se maarā ham ko
ham kisī zulf-e-pareshāñ kī tarah ai taqdīr
ḳhuub bigḌe the magar ḳhuub sañvārā ham ko
jab khiñche un se hue aur ziyāda muztar
maraz-e-ishq ke parhez ne maarā ham ko
roz takrār kare kaun ḳharīdāroñ se
dil kī is garmī-e-bāzār ne maarā ham ko
aap se ab na banegā koī saudā apnā
pher diije dil-e-betāb hamārā ham ko
bahr-e-hastī meñ hue kashtī-e-tūfānī ham
nahīñ miltā kahīñ ai 'dāġh' kināra ham ko
ai falak chahiye ji-bhar ke nazara hum ko
ja ke aana nahin duniya mein dobara hum ko
kabhi ima na kinaya na ishaara hum ko
kam-nigahi ne teri jaan se mara hum ko
hum kisi zulf-e-pareshan ki tarah ai taqdir
KHub bigDe the magar KHub sanwara hum ko
jab khinche un se hue aur ziyaada muztar
maraz-e-ishq ke parhez ne mara hum ko
roz takrar kare kaun KHaridaron se
dil ki is garmi-e-bazar ne mara hum ko
aap se ab na banega koi sauda apna
pher dije dil-e-betab hamara hum ko
bahr-e-hasti mein hue kashti-e-tufani hum
nahin milta kahin ai 'dagh' kinara hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.