ai fikr-e-suKHan kyon zar-e-gul KHak se le aaun
ai fikr-e-suḳhan kyoñ zar-e-gul ḳhaak se le aa.uuñ
mazmūn agar kam hoñ to aflāk se le aa.uuñ
phir kaam haiñ kuchh aur bhī lekin dil-e-nādāñ
pahle to tujhe zulf ke pechāk se le aa.uuñ
kyā ganj-e-guhar kī mire dāman ko kamī hai
chāhūñ to abhī dīda-e-namnāk se le aa.uuñ
dikhlā.ūñ tumheñ apne qabīle kī nishānī
kuchh taar kisī pairhan-e-chāk se le aa.uuñ
chamke to añdhere meñ mirā turra-e-dastār
do chaar sitāre tirī poshāk se le aa.uuñ
yārāñ mujhe in chīzoñ se nashsha nahīñ hotā
varna to ye shai maiñ bhī rag-e-tāk se le aa.uuñ
bas yuuñ hai ki kuchh garmī-e-mahfil kā nahīñ shauq
maiñ aag to apne ḳhas-o-ḳhāshāk se le aa.uuñ
ai fikr-e-suKHan kyon zar-e-gul KHak se le aaun
mazmun agar kam hon to aflak se le aaun
phir kaam hain kuchh aur bhi lekin dil-e-nadan
pahle to tujhe zulf ke pechaak se le aaun
kya ganj-e-guhar ki mere daman ko kami hai
chahun to abhi dida-e-namnak se le aaun
dikhlaun tumhein apne qabile ki nishani
kuchh tar kisi pairhan-e-chaak se le aaun
chamke to andhere mein mera turra-e-dastar
do chaar sitare teri poshak se le aaun
yaran mujhe in chizon se nashsha nahin hota
warna to ye shai main bhi rag-e-tak se le aaun
bas yun hai ki kuchh garmi-e-mahfil ka nahin shauq
main aag to apne KHas-o-KHashak se le aaun
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 109)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.