ai gham-zada zabt kar ke chalna
ai ġham-zada zabt kar ke chalnā
har gaam Thahar Thahar ke chalnā
andāz ġhazab hai ye butoñ kā
hāthoñ ko kamar pe dhar ke chalnā
jaate hue us galī se ham ko
har gaam ik aah bhar ke chalnā
ai kabk kahāñ tū aur vo raftār
pāvegā na aisā mar ke chalnā
ai 'mus.hafī' kyuuñ dabūñ na us se
āshiq kā hai sheva Dar ke chalnā
ai gham-zada zabt kar ke chalna
har gam Thahar Thahar ke chalna
andaz ghazab hai ye buton ka
hathon ko kamar pe dhar ke chalna
jate hue us gali se hum ko
har gam ek aah bhar ke chalna
ai kabk kahan tu aur wo raftar
pawega na aisa mar ke chalna
ai 'mushafi' kyun dabun na us se
aashiq ka hai shewa Dar ke chalna
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 63)
- Author : Ghulam hamdani Mashafi
- Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.