Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai ghazal teri nazar jab se utari humne

Moid Rahbar

ai ghazal teri nazar jab se utari humne

Moid Rahbar

MORE BYMoid Rahbar

    ai ġhazal terī nazar jab se utārī ham ne

    rakh diyā naam tirā rāj-kumārī ham ne

    is liye ġham ko banā rakkhā hai apnā sāthī

    tujh ko de hai ḳhushī saarī saarī ham ne

    dil ke jazbāt zamāne ko batāne ke liye

    sher-goī safar rakkhā hai jaarī ham ne

    dard-e-furqat meñ na so pāoge ab chain se tum

    niiñd āñkhoñ se churā hai tumhārī ham ne

    jo kahā tujh se akele meñ kahā ai zālim

    aabrū kab tirī mahfil meñ utārī ham ne

    naqd hai ishq saudā ye huā jab ma.alūm

    is meñ rakkhī nahīñ koī udhārī ham ne

    haiñ kahāñ jin pe adab thā kabhī dār-o-madār

    ab to stage pe dekhe haiñ madārī ham ne

    ye haqīqat hai tumheñ koī nahīñ pūchhegā

    kyā karoge jo kabhī toḌ yaarī ham ne

    un se bichhḌe haiñ to phir niiñd na aa.ī 'rahbar'

    taare gin gin ke har ik raat guzārī ham ne

    ai ghazal teri nazar jab se utari hum ne

    rakh diya nam tera raj-kumari hum ne

    is liye gham ko bana rakkha hai apna sathi

    tujh ko de di hai KHushi sari ki sari hum ne

    dil ke jazbaat zamane ko batane ke liye

    sher-goi ka safar rakkha hai jari hum ne

    dard-e-furqat mein na so paoge ab chain se tum

    nind aankhon se chura li hai tumhaari hum ne

    jo kaha tujh se akele mein kaha ai zalim

    aabru kab teri mahfil mein utari hum ne

    naqd hai ishq ka sauda ye hua jab malum

    is mein rakkhi hi nahin koi udhaari hum ne

    hain kahan jin pe adab ka tha kabhi dar-o-madar

    ab to stage pe dekhe hain madari hum ne

    ye haqiqat hai tumhein koi nahin puchhega

    kya karoge jo kabhi toD di yari hum ne

    un se bichhDe hain to phir nind na aai 'rahbar'

    tare gin gin ke har ek raat guzari hum ne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now