Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai hazrat-e-isa nahin kuchh ja-e-suKHan ab

Munshi Banwari Lal Shola

ai hazrat-e-isa nahin kuchh ja-e-suKHan ab

Munshi Banwari Lal Shola

MORE BYMunshi Banwari Lal Shola

    ai hazrat-e-īsā nahīñ kuchh jā-e-suḳhan ab

    vo aa ga.e rakhvā.iye tah kar ke kafan ab

    sīñchā gayā phūlā hai na.e sar se chaman ab

    ashkoñ ne kiye sabz mire dāġh-e-kuhan ab

    o shauq-e-asīrī khulī gesū shikan ab

    tarseñge qafas ke liye murġhān-e-chaman ab

    ḳhāmoshī ne mā'dūm kiyā aur dahan ab

    tum kaho baaqī rahī kyā jā-e-suḳhan ab

    yārān-e-vatan ko hai ġharīboñ se kināra

    ġhurbat taqāzā hai karo tark-e-vatan ab

    derīna sitam-kash huuñ zamāne meñ azal se

    kyā jaur nikālegā na.e charḳh-e-kuhan ab

    sun lījiye kuchh qissa-e-betābī-e-dil ko

    jo meñ ho kah lījiye phir mushfiq-e-man ab

    sīmāb banāyā tap-e-hijrāñ ne jigar ko

    dil Thahrne detī nahīñ siine jalan ab

    ban ban ke sañvarte haiñ bigaḌ jaate haiñ ban kar

    niklā hai na.ī sāḳht be-sāḳhta-pan ab

    chalte sar-e-bāzār ho ġhairoñ ko parakhte

    baTTā na lagā.e kahīñ ye chāl-chalan ab

    zanjīr mirī toḌ ai joshish-e-vahshat

    phir sar pe chaḌhā chāhtā hai najd ban ab

    āḳhir koī had bhī tirī ai dūri-e-ġhurbat

    māyūs hue jaate haiñ yārān-e-vatan ab

    phir siine meñ paikāñ na samāyā ho kisī

    kyā baat hai khulte nahīñ zaḳhmoñ ke dahan ab

    kyā misr ke yūsuf ke kueñ jhāñk liye haiñ

    dikhlā do zuleḳhā ko zarā chāh-e-zakan ab

    hangāma-e-mahshar meñ ḳhamoshī hai kahāñ

    sunñe nahīñ koī yahāñ uzr-e-dahan ab

    kyā ruḳh pe bahār aa.ī na.e sabza-e-ḳhat se

    tab ġhairat-e-gul the to hue rashk-e-chaman ab

    muddat se gayā qais-e-sitam-kash zamāna

    paidā to kare mujh koī charḳh-e-kuhan ab

    pahuñchā na kabhī kaan talak nāla-e-majnūñ

    chillā.ūñ agar guuñj uThe najd ban ab

    kyā fikr hai ai 'sho.ala' piyo bāda-e-rangīñ

    Daalo bhī kahīñ bhaaḌ meñ ye ranj-o-mehan ab

    ai hazrat-e-isa nahin kuchh ja-e-suKHan ab

    wo aa gae rakhwaiye tah kar ke kafan ab

    sincha gaya phula hai nae sar se chaman ab

    ashkon ne kiye sabz mere dagh-e-kuhan ab

    o shauq-e-asiri khuli gesu ki shikan ab

    tarsenge qafas ke liye murghan-e-chaman ab

    KHamoshi ne ma'dum kiya aur dahan ab

    tum hi kaho baqi rahi kya ja-e-suKHan ab

    yaran-e-watan ko hai gharibon se kinara

    ghurbat ka taqaza hai karo tark-e-watan ab

    derina sitam-kash hun zamane mein azal se

    kya jaur nikalega nae charKH-e-kuhan ab

    sun lijiye kuchh qissa-e-betabi-e-dil ko

    jo ji mein ho kah lijiye phir mushfiq-e-man ab

    simab banaya tap-e-hijran ne jigar ko

    dil Thahrne deti nahin sine ki jalan ab

    ban ban ke sanwarte hain bigaD jate hain ban kar

    nikla hai nai saKHt ka be-saKHta-pan ab

    chalte sar-e-bazar ho ghairon ko parakhte

    baTTa na lagae kahin ye chaal-chalan ab

    zanjir meri toD di ai joshish-e-wahshat

    phir sar pe chaDha chahta hai najd ka ban ab

    aaKHir koi had bhi teri ai duri-e-ghurbat

    mayus hue jate hain yaran-e-watan ab

    phir sine mein paikan na samaya ho kisi ka

    kya baat hai khulte nahin zaKHmon ke dahan ab

    kya misr ke yusuf ke kuen jhank liye hain

    dikhla do zuleKHa ko zara chah-e-zakan ab

    hangama-e-mahshar mein KHamoshi hai kahan ki

    sunne ka nahin koi yahan uzr-e-dahan ab

    kya ruKH pe bahaar aai nae sabza-e-KHat se

    tab ghairat-e-gul the to hue rashk-e-chaman ab

    muddat se gaya qais-e-sitam-kash ka zamana

    paida to kare mujh sa koi charKH-e-kuhan ab

    pahuncha na kabhi kan talak nala-e-majnun

    chillaun agar gunj uThe najd ka ban ab

    kya fikr hai ai 'shoala' piyo baada-e-rangin

    Dalo bhi kahin bhaD mein ye ranj-o-mehan ab

    Source:

    Kulliyat-e-Shola (Pg. 203)

    • Author: Munshi Banwari Lal Shola
      • Year of Publication: 1924
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now