ai husn-e-lala-fam ghazal likh raha hun main
ai husn-e-lāla-fām ġhazal likh rahā huuñ maiñ
tujh ko mirā salām ġhazal likh rahā huuñ maiñ
guzrā hai puurā din mirā fikr-e-ma'āsh meñ
hone lagī hai shaam ġhazal likh rahā huuñ maiñ
bhar de mirā piyāla suḳhan kī sharāb se
kab se yuuñ tishna-kām ġhazal likh rahā huuñ maiñ
'arse se guftugū kā darīcha hī band thā
us ne kiyā kalām ġhazal likh rahā huuñ maiñ
jām-o-subū nahīñ ye nazar kā savāl hai
thoḌā sā ehtimām ġhazal likh rahā huuñ maiñ
ai husn-e-lala-fam ghazal likh raha hun main
tujh ko mera salam ghazal likh raha hun main
guzra hai pura din mera fikr-e-ma'ash mein
hone lagi hai sham ghazal likh raha hun main
bhar de mera piyala suKHan ki sharab se
kab se yun tishna-kaam ghazal likh raha hun main
'arse se guftugu ka daricha hi band tha
us ne kiya kalam ghazal likh raha hun main
jam-o-subu nahin ye nazar ka sawal hai
thoDa sa ehtimam ghazal likh raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.