Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai ishq teri ab ke wo tasir kya hui

Mushafi Ghulam Hamdani

ai ishq teri ab ke wo tasir kya hui

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    ai ishq terī ab ke vo tāsīr kyā huī

    shor-e-junūñ kidhar gayā zanjīr kyā huī

    dīvāna-pan mere jo karte nahīñ ilaaj

    tadbīr karne vāloñ tadbīr kyā huī

    aagū tarah aap jo ab bolte nahīñ

    kyā jaane aisī ham se vo taqsīr kyā huī

    ham ne to tum ko dauḌ ke kaulī meñ bhar liyā

    farmā.iye ab aap shamshīr kyā huī

    thī jo maiñ muraqqa-e-ālam se intiḳhāb

    ai 'mus.hafī' dareġh vo tasvīr kyā huī

    ai ishq teri ab ke wo tasir kya hui

    shor-e-junun kidhar gaya zanjir kya hui

    diwana-pan ka mere jo karte nahin ilaj

    tadbir karne walon ki tadbir kya hui

    aagu ki tarah aap jo ab bolte nahin

    kya jaane aisi hum se wo taqsir kya hui

    hum ne to tum ko dauD ke kauli mein bhar liya

    farmaiye ab aap ki shamshir kya hui

    ki thi jo main muraqqa-e-alam se intiKHab

    ai 'mushafi' daregh wo taswir kya hui

    Source:

    kulliyat-e-mas.hafii(awwa) (Pg. 399)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now