ai jaan-e-intizar tere sehn ki taraf
ai jān-e-intizār tire sehn kī taraf
kyā aa ga.ī bahār tire sahn kī taraf
ab ro rahe haiñ hijr meñ vo sab darīche jo
khulte the bār-bār tire sehn kī taraf
tarġhīb ke baġhair kabūtar mire bhī kaash
uḌte kabhī-kabhār tire sehn kī taraf
dīvār khā ga.ī vo shajar jis kī shāḳh se
girte the kuchh anaar tire sehn kī taraf
qisse kiye jahāñ ne mire ḳhasta baam ke
mansūb be-shumār tire sehn kī taraf
karte haiñ baat phuul se ḳhushbū se ham magar
rū-e-suḳhan hai yaar tire sehn kī taraf
pās-e-adab hai is liye karte nahīñ haiñ piiTh
ham jaise ḳhāksār tire sehn kī taraf
ai jaan-e-intizar tere sehn ki taraf
kya aa gai bahaar tere sahn ki taraf
ab ro rahe hain hijr mein wo sab dariche jo
khulte the bar-bar tere sehn ki taraf
targhib ke baghair kabutar mere bhi kash
uDte kabhi-kabhaar tere sehn ki taraf
diwar kha gai wo shajar jis ki shaKH se
girte the kuchh anar tere sehn ki taraf
qisse kiye jahan ne mere KHasta baam ke
mansub be-shumar tere sehn ki taraf
karte hain baat phul se KHushbu se hum magar
ru-e-suKHan hai yar tere sehn ki taraf
pas-e-adab hai is liye karte nahin hain piTh
hum jaise KHaksar tere sehn ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.