Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai junun aaj tere dar pe ware kis ko

Ameer Imam

ai junun aaj tere dar pe ware kis ko

Ameer Imam

MORE BYAmeer Imam

    ai junūñ aaj tire daar pe vaare kis ko

    zindagī soch meñ hai nazr guzāre kis ko

    hai ġham-e-hijr tire vasl ummīd ke saath

    dekhiye ab dil-e-shorīda pukāre kis ko

    mire shāne bhī yahāñ haiñ mirā sar bhī hai yahāñ

    kar rahī hai mirī shamshīr ishāre kis ko

    haar jaane se nahīñ aaj bhī ḳhā.if mirā dil

    mas.ala ye hai ki ab haare to haare kis ko

    ham jo bikhre to tirī zulf se shikva bekār

    ḳhud jo ik saañs se bikhre vo sañvāre kis ko

    ai junun aaj tere dar pe ware kis ko

    zindagi soch mein hai nazr guzare kis ko

    hai gham-e-hijr tere wasl ki ummid ke sath

    dekhiye ab dil-e-shorida pukare kis ko

    mere shane bhi yahan hain mera sar bhi hai yahan

    kar rahi hai meri shamshir ishaare kis ko

    haar jaane se nahin aaj bhi KHaif mera dil

    masala ye hai ki ab haare to haare kis ko

    hum jo bikhre to teri zulf se shikwa bekar

    KHud jo ek sans se bikhre wo sanware kis ko

    Source:

    Subh Bakhair Zindagi (Pg. 117)

    • Author: Ameer Imam
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now