Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai kashif-e-asrar bata hai ki nahin hai

Talib Dehlavi

ai kashif-e-asrar bata hai ki nahin hai

Talib Dehlavi

MORE BYTalib Dehlavi

    Interesting Fact

    (4th September, 1961) (Tamir-e-Urdu)

    ai kāshif-e-asrār batā hai ki nahīñ hai

    kahte haiñ jise log ḳhudā hai ki nahīñ hai

    duniyā meñ bhalā.ī sila hai ki nahīñ hai

    anjām burā.ī burā hai ki nahīñ hai

    mahsūs to hotā hai dikhā.ī nahīñ detā

    is soch meñ Duubā huuñ ḳhudā hai ki nahīñ hai

    kyuuñ ham ko Darātā hai koī roz-e-jazā se

    ḳhud apnī jagah ziist sazā hai ki nahīñ hai

    kyuuñ dast-nigar ḳhud ko samajhtā hai kisī

    qabze meñ tire dast-e-duā hai ki nahīñ hai

    ham se bhī kabhī rabt thā ai bhūlne vaale

    zālim tujhe kuchh pās-e-vafā hai ki nahīñ hai

    bhar ke sazā de magar itnā to batā de

    nā-karda-gunāhī jazā hai ki nahīñ hai

    jo bhī nazar aatā hai yahāñ nazr-e-fanā hai

    ai dost fanā ko bhī fanā hai ki nahīñ hai

    bātil parastish jahāñ hotī hai shab-o-roz

    haq baat ke kahne mazā hai ki nahīñ hai

    duniyā tujhe Dar hai bahut ye mujhe taslīm

    kuchh dil meñ tire ḳhauf-e-ḳhudā hai ki nahīñ hai

    mai mazammat to kiyā kartā hai vaa.iz

    ye shai magar andoh-rubā hai ki nahīñ hai

    insāf se leñ kaam jinheñ zauq-e-suḳhan hai

    uslūb mirā sab se judā hai ki nahīñ hai

    'tālib' to yaqīnan tirī saarī ḳhudā.ī

    lekin koī rāzī-ba-razā hai ki nahīñ hai

    ai kashif-e-asrar bata hai ki nahin hai

    kahte hain jise log KHuda hai ki nahin hai

    duniya mein bhalai ka sila hai ki nahin hai

    anjam burai ka bura hai ki nahin hai

    mahsus to hota hai dikhai nahin deta

    is soch mein Duba hun KHuda hai ki nahin hai

    kyun hum ko Daraata hai koi roz-e-jaza se

    KHud apni jagah zist saza hai ki nahin hai

    kyun dast-nigar KHud ko samajhta hai kisi ka

    qabze mein tere dast-e-dua hai ki nahin hai

    hum se bhi kabhi rabt tha ai bhulne wale

    zalim tujhe kuchh pas-e-wafa hai ki nahin hai

    ji bhar ke saza de magar itna to bata de

    na-karda-gunahi ki jaza hai ki nahin hai

    jo bhi nazar aata hai yahan nazr-e-fana hai

    ai dost fana ko bhi fana hai ki nahin hai

    baatil ki parastish jahan hoti hai shab-o-roz

    haq baat ke kahne ka maza hai ki nahin hai

    duniya ka tujhe Dar hai bahut ye mujhe taslim

    kuchh dil mein tere KHauf-e-KHuda hai ki nahin hai

    tu mai ki mazammat to kiya karta hai waiz

    ye shai magar andoh-ruba hai ki nahin hai

    insaf se len kaam jinhen zauq-e-suKHan hai

    uslub mera sab se juda hai ki nahin hai

    'talib' to yaqinan hi teri sari KHudai

    lekin koi raazi-ba-raza hai ki nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now