ai KHuda tu bhi yahan aae to jae na bane
ai ḳhudā tū bhī yahāñ aa.e to jaa.e na bane
ab kahīñ aur koī aisī sarā.e na bane
vaqt ko apnī 'imārat kā bharam rakhnā hai
aisī dīvār uThā dī hai ki Dhaa.e na bane
raushnī malgajī aur dhund bahut gahrī thī
lahriye aaj tirī yaad ke saa.e na bane
merā uslūb isī baat kī koshish to nahīñ
mere baare meñ kisī kī koī raa.e na bane
chhoḌ kar ham ko zamāne kā nikalnā dekho
dil baḌhe bhī to qadam ham se baḌhā.e na bane
zindagī aisī havā-ḳhvāh-e-havas hai ki ajal
laakh chāhe ki ise apnā banā.e na bane
kuchh hī ash'ār haiñ 'ġhālib' ke nahīñ jin kā javāb
baaqī she'roñ ke liye sharh uThā.e na bane
koī chāhe ki use DhūñDne nikleñ sab log
us taraf jaa.e jidhar ḳhalq se jaa.e na bane
ai KHuda tu bhi yahan aae to jae na bane
ab kahin aur koi aisi sarae na bane
waqt ko apni 'imarat ka bharam rakhna hai
aisi diwar uTha di hai ki Dhae na bane
raushni malgaji aur dhund bahut gahri thi
lahriye aaj teri yaad ke sae na bane
mera uslub isi baat ki koshish to nahin
mere bare mein kisi ki koi rae na bane
chhoD kar hum ko zamane ka nikalna dekho
dil baDhe bhi to qadam hum se baDhae na bane
zindagi aisi hawa-KHwah-e-hawas hai ki ajal
lakh chahe ki ise apna banae na bane
kuchh hi ash'ar hain 'ghaalib' ke nahin jin ka jawab
baqi she'ron ke liye sharh uThae na bane
koi chahe ki use DhunDne niklen sab log
us taraf jae jidhar KHalq se jae na bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.