ai KHush-qadam gawara ye zahmat agar karo
ai ḳhush-qadam gavārā ye zahmat agar karo
kuchh din harīm-e-jāñ meñ hamāre basar karo
kuchh nā-tarāsh sang haiñ mere bhī haath meñ
gardūñ-nashīno mujh meñ bhī paidā hunar karo
āñkhoñ ke āsmāñ meñ hai ḳhvāboñ kī kahkashāñ
is kahkashāñ kī sair ba-rang-e-digar karo
ik ye bhī rasm hai ki tamanna kī raah meñ
manzil kā koī qasd na ho aur safar karo
maiñ ne matā'-e-zīst gañvā.ī so dil-rubā
ab tum bhī intizār mirā 'umr bhar karo
roīdagī se ḳhālī paḌī hai zamīn-e-dil
ai chashm-e-abr-ḳhez ise tar-ba-tar karo
rang-e-hinā.ī phīkā agar paḌ gayā to kyā
phir ḳhūn-e-ārzū se ise tāza-tar karo
ai KHush-qadam gawara ye zahmat agar karo
kuchh din harim-e-jaan mein hamare basar karo
kuchh na-tarash sang hain mere bhi hath mein
gardun-nashino mujh mein bhi paida hunar karo
aankhon ke aasman mein hai KHwabon ki kahkashan
is kahkashan ki sair ba-rang-e-digar karo
ek ye bhi rasm hai ki tamanna ki rah mein
manzil ka koi qasd na ho aur safar karo
main ne mata'-e-zist ganwai so dil-ruba
ab tum bhi intizar mera 'umr bhar karo
roidagi se KHali paDi hai zamin-e-dil
ai chashm-e-abr-KHez ise tar-ba-tar karo
rang-e-hinai phika agar paD gaya to kya
phir KHun-e-arzu se ise taza-tar karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.