Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai meri aankho ye be-sud justuju kaisi

Abdul Wahab Sukhan

ai meri aankho ye be-sud justuju kaisi

Abdul Wahab Sukhan

MORE BYAbdul Wahab Sukhan

    ai merī āñkho ye be-sūd justujū kaisī

    jo ḳhvāb ḳhvāb rahīñ un aarzū kaisī

    ragoñ meñ ḳhuun hai shāḳhoñ surḳh-rū ġhunche

    ḳhizāñ meñ ab ke bahāroñ rañg-o-bū kaisī

    tamām pattoñ ko mausam ne zard zard kiyā

    ye ek shāḳh-e-tamannā hai sabz-rū kaisī

    karo to yaad milan ke vo avvalīñ lamhe

    ki chhiḌ ga.ī thī nigāhoñ meñ guftugū kaisī

    ye shahr-e-dil meñ bhalā aaj kis aamad hai

    ye mahv-e-raqs haiñ ḳhushbūeñ kū-ba-kū kaisī

    ufuq chehra 'suḳhan' is kadar udaas hai kyuuñ

    shafaq ke rañg meñ ye surḳhī-e-lahū kaisī

    ai meri aankho ye be-sud justuju kaisi

    jo KHwab KHwab rahin un ki aarzu kaisi

    ragon mein KHun hai shaKHon ki surKH-ru ghunche

    KHizan mein ab ke bahaaron ki rang-o-bu kaisi

    tamam patton ko mausam ne zard zard kiya

    ye ek shaKH-e-tamanna hai sabz-ru kaisi

    karo to yaad milan ke wo awwalin lamhe

    ki chhiD gai thi nigahon mein guftugu kaisi

    ye shahr-e-dil mein bhala aaj kis ki aamad hai

    ye mahw-e-raqs hain KHushbuen ku-ba-ku kaisi

    ufuq ka chehra 'suKHan' is kadar udas hai kyun

    shafaq ke rang mein ye surKHi-e-lahu kaisi

    Source:

    Nai Rut Ka Safar (Pg. 48)

    • Author: Abdul Wahab Sukhan
      • Edition: 2014
      • Publisher: Mishkaat Printer, Aligrah
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now