ai mere chaaragar soch kar bolna
ai mire chārāgar soch kar bolnā
kyā hai darmān-e-zaḳhm-e-jigar bolnā
aag se khelnā koī mushkil nahīñ
saḳht mushkil hai haq baat par bolnā
aaj ke daur kā ḳhaas dastūr hai
'aib ko zindagī kā hunar bolnā
pyaar kī ahmiyat kā pata de gayā
shām-e-vā’da tirā ruuTh kar bolnā
sar bhī kaT jaa.e 'arshī' magar dekhnā
ḳhair ko ḳhair aur shar ko shar bolnā
ai mere chaaragar soch kar bolna
kya hai darman-e-zaKHm-e-jigar bolna
aag se khelna koi mushkil nahin
saKHt mushkil hai haq baat par bolna
aaj ke daur ka KHas dastur hai
'aib ko zindagi ka hunar bolna
pyar ki ahmiyat ka pata de gaya
sham-e-wa’da tera ruTh kar bolna
sar bhi kaT jae 'arshi' magar dekhna
KHair ko KHair aur shar ko shar bolna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.