Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai miyan kaun ye kahta hai mohabbat ki hai

Ahmad Ata

ai miyan kaun ye kahta hai mohabbat ki hai

Ahmad Ata

MORE BYAhmad Ata

    ai miyāñ kaun ye kahtā hai mohabbat hai

    baat ye hai ki yahāñ baat zarūrat hai

    phir koī chaak garebān liye phirtā hai

    hazrat-e-ishq ne phir koī sharārat hai

    bas yūñhī ek hayūlā nazar aayā thā

    aur phir dil ne dhaḌakne jo shiddat hai

    vo mirī chaah vaise bhī talabgār na thā

    phir mire dil ne sambhalne meñ bhī ujlat hai

    ham bahut duur chale aa.e haiñ basne ko 'atā'

    is se pahle bhī bahut duur se hijrat hai

    ai miyan kaun ye kahta hai mohabbat ki hai

    baat ye hai ki yahan baat zarurat ki hai

    phir koi chaak gareban liye phirta hai

    hazrat-e-ishq ne phir koi shararat ki hai

    bas yunhi ek hayula sa nazar aaya tha

    aur phir dil ne dhaDakne ki jo shiddat ki hai

    wo meri chah ka waise bhi talabgar na tha

    phir mere dil ne sambhalne mein bhi ujlat ki hai

    hum bahut dur chale aae hain basne ko 'ata'

    is se pahle bhi bahut dur se hijrat ki hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now