Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai naseh chashm-e-tar se mat kar aansu pak rahne de

Wali Uzlat

ai naseh chashm-e-tar se mat kar aansu pak rahne de

Wali Uzlat

MORE BYWali Uzlat

    ai nāseh chashm-e-tar se mat kar aañsū paak rahne de

    are bedard rone meñ mujhe bebāk rahne de

    baras mat abr miT jaagā bagholā ḳhāk-e-majnūñ

    ḳhudā ke vāste dasht-e-junūñ naak rahne de

    dil-e-zaḳhmī hai shā.eq bū-e-gul aur shor-e-bulbul

    rafū-gar fasl-e-gul meñ ye garebāñ chaak rahne de

    ye tāqat nazr hai ai nā-tavānī par bahāroñ meñ

    mire hāthoñ ko chāk-e-jeb par chālāk rahne de

    nasīhat mujh ko tark-e-ishq kuchh farz nahīñ tujh par

    na chhoḌ ai shaiḳh sunnat muñh meñ nit misvāk rahne de

    uḌā mat ai nasīm-e-bāġh-e-jannat kyā karūñ tujh ko

    mire sar par zarā galī ḳhaak rahne de

    agar juuñ sham.a-dīd-e-sho.ala-rūyāñ chāhiye 'uzlat'

    nazārā na jal chashm ko namnāk rahne de

    ai naseh chashm-e-tar se mat kar aansu pak rahne de

    are bedard rone mein mujhe bebak rahne de

    baras mat abr miT jaga baghola KHak-e-majnun ka

    KHuda ke waste dasht-e-junun ki nak rahne de

    dil-e-zaKHmi hai shaeq bu-e-gul aur shor-e-bulbul ka

    rafu-gar fasl-e-gul mein ye gareban chaak rahne de

    ye taqat nazr hai ai na-tawani par bahaaron mein

    mere hathon ko chaak-e-jeb par chaalak rahne de

    nasihat mujh ko tark-e-ishq ki kuchh farz nahin tujh par

    na chhoD ai shaiKH sunnat munh mein nit miswak rahne de

    uDa mat ai nasim-e-bagh-e-jannat kya karun tujh ko

    mere sar par zara pi ki gali ki KHak rahne de

    agar jun shama-did-e-shoala-ruyan chahiye 'uzlat'

    nazara ta na jal ja chashm ko namnak rahne de

    Source:

    Deewan-e-uzlat(Rekhta Website) (Pg. 106)

    • Author: Syed Saadullah
      • Edition: 1759
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now