Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai rabb-e-zul-jalal hai meri KHata buland

Chashma Farooqi

ai rabb-e-zul-jalal hai meri KHata buland

Chashma Farooqi

MORE BYChashma Farooqi

    ai rabb-e-zul-jalāl hai merī ḳhatā buland

    lekin ḳhatā se baḌh ke hai terī atā buland

    āñkheñ jhukī huī haiñ saroñ par hijāb hai

    kirdār munfarid hai jo ham ne rakhā buland

    motī jhalak rahe haiñ jo shabnam ke oT se

    phūloñ se gulsitāñ huī hai fazā buland

    husn-o-jamāl chāñd sitāroñ tazkira

    is dāstān-e-shoḳh meñ sab kuchh kahā buland

    kis lahū fazāoñ meñ phailā hai har taraf

    badlī se ho rahā hai jo rang-e-hinā buland

    TuuTe hue diloñ ko ġhazal meñ sajā diyā

    shīshagarī meñ 'chashma' hai us adā buland

    ai rabb-e-zul-jalal hai meri KHata buland

    lekin KHata se baDh ke hai teri ata buland

    aankhen jhuki hui hain saron par hijab hai

    kirdar munfarid hai jo hum ne rakha buland

    moti jhalak rahe hain jo shabnam ke oT se

    phulon se gulsitan ki hui hai faza buland

    husn-o-jamal chand sitaron ka tazkira

    is dastan-e-shoKH mein sab kuchh kaha buland

    kis ka lahu fazaon mein phaila hai har taraf

    badli se ho raha hai jo rang-e-hina buland

    TuTe hue dilon ko ghazal mein saja diya

    shishagari mein 'chashma' hai us ki ada buland

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now