ai rabb-e-zul-jalal mere dil se Dar nikal
ai rabb-e-zul-jalāl mire dil se Dar nikāl
ai rabb-e-zul-jalāl hai bandī tirī niDhāl
rū-posh hai jo thī kabhī ik paikar-e-jamāl
ai rabb-e-zul-jalāl ye ab zaat hai vabāl
jab sabr aa chukā hai to kaisā hai ye malāl
ai rabb-e-zul-jalāl hai tujh se mirā savāl
kyā kyā huā hai saath mire kyā maiñ duuñ misāl
ai rabb-e-zul-jalāl hai har ḳhvāb pā.emāl
vahm-o-gumāñ ke khel bhī ab ho ga.e muhāl
ai rabb-e-zul-jalāl tū paikar meñ mujh ko Dhaal
jis ko sunāne lagtī huuñ maiñ apne dil kā haal
ai rabb-e-zul-jalāl vo kahtā hai haa.e haal
ai rabb-e-zul-jalal mere dil se Dar nikal
ai rabb-e-zul-jalal hai bandi teri niDhaal
ru-posh hai jo thi kabhi ek paikar-e-jamal
ai rabb-e-zul-jalal ye ab zat hai wabaal
jab sabr aa chuka hai to kaisa hai ye malal
ai rabb-e-zul-jalal hai tujh se mera sawal
kya kya hua hai sath mere kya main dun misal
ai rabb-e-zul-jalal hai har KHwab paemal
wahm-o-guman ke khel bhi ab ho gae muhaal
ai rabb-e-zul-jalal tu paikar mein mujh ko Dhaal
jis ko sunane lagti hun main apne dil ka haal
ai rabb-e-zul-jalal wo kahta hai hae haal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.