ai saeban-e-gesu-e-KHamdar alwida
ai sā.ebān-e-gesū-e-ḳhamdār alvidā'
phir ham haiñ aur sāya-e-dīvār alvidā'
is ḳhāmushī-e-qalb kī taḳhlīq-e-kun-fakāñ
ai kā.enāt-e-kākul-o-ruḳhsār alvidā'
karnī haiñ phir talāsh zuleḳhā-nigāhiyāñ
yūsuf ko phir hai misr kā bāzār alvidā'
bhaTkegā dil ke dasht meñ yādoñ kā qāfila
is qāfile kī qāfila-sālār alvidā'
kuchh aur ho rahī haiñ mo'attar ḳhamoshiyāñ
ḳhushbū-ba-dosh narmī-e-guftār alvidā'
khultī hai aaj tujh se marāsim kī rīsmāñ
āzād ho rahā hai giraftār alvidā'
ai saeban-e-gesu-e-KHamdar alwida'
phir hum hain aur saya-e-diwar alwida'
is KHamushi-e-qalb ki taKHliq-e-kun-fakan
ai kaenat-e-kakul-o-ruKHsar alwida'
karni hain phir talash zuleKHa-nigahiyan
yusuf ko phir hai misr ka bazar alwida'
bhaTkega dil ke dasht mein yaadon ka qafila
is qafile ki qafila-salar alwida'
kuchh aur ho rahi hain mo'attar KHamoshiyan
KHushbu-ba-dosh narmi-e-guftar alwida'
khulti hai aaj tujh se marasim ki risman
aazad ho raha hai giraftar alwida'
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 97)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.