ai sakhi likh diye hain nam un ke
ai sakhī likh diye haiñ naam un ke
rang holī ke giit phāgun ke
ai sakhī dekh kitne pyāre phuul
ham ko bheje haiñ un ne chun chun ke
ai sakhī paḌh na ḳhat sar-e-mahfil
ro na duuñ un ke aane kā sun ke
ai sakhī tez dhuup vo aur maiñ
aur ghane saa.e peḌ jāmun ke
ai sakhī maat honā pakkī hai
kyā batā.ūñ tujhe maiñ daañv un ke
ai sakhī aaj bhī ye raat kahīñ
biit jaa.e na 'ḳhvāb' bun bun ke
ai sakhi likh diye hain nam un ke
rang holi ke git phagun ke
ai sakhi dekh kitne pyare phul
hum ko bheje hain un ne chun chun ke
ai sakhi paDh na KHat sar-e-mahfil
ro na dun un ke aane ka sun ke
ai sakhi tez dhup wo aur main
aur ghane sae peD jamun ke
ai sakhi mat hona pakki hai
kya bataun tujhe main danw un ke
ai sakhi aaj bhi ye raat kahin
bit jae na 'KHwab' bun bun ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.