Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai sanam der na kar anjuman-ara ho ja

Fana bulandshahri

ai sanam der na kar anjuman-ara ho ja

Fana bulandshahri

MORE BYFana bulandshahri

    ai sanam der na kar anjuman-ārā ho

    merī dam toḌtī nazroñ sahārā ho

    apne dāman meñ chhupā le mujhe mahbūb mire

    mirī bigḌī huī qismat sitāra ho

    ishq sachchā hai to phir rañg-e-duī Thiik nahīñ

    ham tire ho ga.e ab bhī hamārā ho

    mujh ko har vaqt hai lazzat-e-dīdār-e-sanam

    merī nazroñ ke liye aisā sahārā ho

    merī chāhat do-ālam meñ bharam rah jaa.e

    mujhe merī mohabbat se pyārā ho

    us ko paanā hai to kashtī se kinārā kar le

    Duub kar bahr-e-mohabbat kinārā ho

    huuñ 'fanā' ishq meñ tere tirā kahlātā huuñ

    merī taqdīr badal merā sahārā ho

    ai sanam der na kar anjuman-ara ho ja

    meri dam toDti nazron ka sahaara ho ja

    apne daman mein chhupa le mujhe mahbub mere

    meri bigDi hui qismat ka sitara ho ja

    ishq sachcha hai to phir rang-e-dui Thik nahin

    hum tere ho gae ab tu bhi hamara ho ja

    mujh ko har waqt hai lazzat-e-didar-e-sanam

    meri nazron ke liye aisa sahaara ho ja

    meri chahat ka do-alam mein bharam rah jae

    tu mujhe meri mohabbat se pyara ho ja

    us ko pana hai to kashti se kinara kar le

    Dub kar bahr-e-mohabbat ka kinara ho ja

    hun 'fana' ishq mein tere tera kahlata hun

    meri taqdir badal mera sahaara ho ja

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now