Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai sanam tu sanam hai nirala tu jidhar bhi nigahen uTha de

Fana bulandshahri

ai sanam tu sanam hai nirala tu jidhar bhi nigahen uTha de

Fana bulandshahri

MORE BYFana bulandshahri

    ai sanam sanam hai nirālā jidhar bhī nigāheñ uThā de

    jise chāhe kar de musalmāñ jise chāhe kāfir banā de

    laaj rakh mere jazb-e-vafā mere sajdoñ ko apnā pata de

    mujh ko aatā nahīñ sar jhukānā bandagī tarīqa sikhā de

    laaj rakh mirī bandagī yuuñ na bhaTkā mujhe dar-ba-dar

    mujhe merī manzil atā kar mujhe sar ko ka.aba banā de

    raaz ab tak samajh meñ na aayā raaz baat hai raaz meñ

    ishq chāhe to miT jaa.e ḳhud husn chāhe to murda jilā de

    baat ab tak samajh meñ na aa.ī tere jalvoñ meñ hai kaisā jaadū

    jaan de de vo mansūr ban kar jise apnā jalva dikhā de

    dard-e-dil le ke aayā huuñ dar par phir masīhā nigāh-e-karam kar

    maiñ kahāñ jā.ūñgā ishq le kar jān-e-man mere dukh davā de

    kahāñ maarā maarā phiregā uTh ke chaukhaT se apne sanam

    hai 'fanā' bas yahī dīn-o-duniyā isī dar pe hastī miTā de

    ai sanam tu sanam hai nirala tu jidhar bhi nigahen uTha de

    tu jise chahe kar de musalman tu jise chahe kafir bana de

    laj rakh mere jazb-e-wafa ki mere sajdon ko apna pata de

    mujh ko aata nahin sar jhukana bandagi ka tariqa sikha de

    laj rakh tu meri bandagi ki yun na bhaTka mujhe dar-ba-dar tu

    ya mujhe meri manzil ata kar ya mujhe sar ko kaba bana de

    raaz ab tak samajh mein na aaya raaz ki baat hai raaz hi mein

    ishq chahe to miT jae KHud hi husn chahe to murda jila de

    baat ab tak samajh mein na aai tere jalwon mein hai kaisa jadu

    jaan de de wo mansur ban kar tu jise apna jalwa dikha de

    dard-e-dil le ke aaya hun dar par phir masiha nigah-e-karam kar

    main kahan jaunga ishq le kar jaan-e-man mere dukh ki dawa de

    tu kahan mara mara phirega uTh ke chaukhaT se apne sanam ki

    hai 'fana' bas yahi din-o-duniya tu isi dar pe hasti miTa de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now