Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai yar mujh afsurada-e-hijran ko pahunch tu

Wali Uzlat

ai yar mujh afsurada-e-hijran ko pahunch tu

Wali Uzlat

MORE BYWali Uzlat

    ai yaar mujh afsurada-e-hijrāñ ko pahuñch

    ai rashk-e-masīhā tan-e-be-jāñ ko pahuñch

    fariyād-kash ik bose huuñ tere laboñ se

    ai surma misī ke mirī afġhāñ ko pahuñch

    gar ātish-e-dil nāloñ sarsar se na sulge

    mat sard ho dāmān-e-bayābāñ ko pahuñch to

    bikhre haiñ sharar dil ke mire dūd-e-fuġhāñ meñ

    apne sar-e-zulf-e-zar-afshāñ ko pahuñch

    shāyad ki ho is bāġhī chaman miir manzūr

    shabnam ho ke ai ashk gulistāñ ko pahuñch

    gar chaah hai sarsabzī-e-baḳhtoñ divāne

    atfāl ke pathrāv bārāñ ko pahuñch

    pur-zañg hai ā.īna-e-dil hind se 'uzlat'

    gar chāhiye saf haañ to safāhāñ ko pahuñch

    ai yar mujh afsurada-e-hijran ko pahunch tu

    ai rashk-e-masiha tan-e-be-jaan ko pahunch tu

    fariyaad-kash ek bose ka hun tere labon se

    ai surma misi ke meri afghan ko pahunch tu

    gar aatish-e-dil nalon ki sarsar se na sulge

    mat sard ho daman-e-bayaban ko pahunch to

    bikhre hain sharar dil ke mere dud-e-fughan mein

    apne hi sar-e-zulf-e-zar-afshan ko pahunch tu

    shayad ki ho is baghi chaman mir ka manzur

    shabnam ho ke ai ashk gulistan ko pahunch tu

    gar chah hai sarsabzi-e-baKHton ki diwane

    atfal ke pathraw ki baran ko pahunch tu

    pur-zang hai aaina-e-dil hind se 'uzlat'

    gar chahiye saf han to safahan ko pahunch tu

    Source:

    Deewan-e-uzlat(Rekhta Website) (Pg. 96)

    • Author: Syed Saadullah
      • Edition: 1759
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now