Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai zauq arz-e-hunar harf-e-etidal mein rakh

Shahid Kamal

ai zauq arz-e-hunar harf-e-etidal mein rakh

Shahid Kamal

MORE BYShahid Kamal

    ai zauq arz-e-hunar harf-e-e'tidāl meñ rakh

    maiñ ik javāb huuñ mujhī ko mire savāl meñ rakh

    nuqūsh-e-ḳhāk-e-badan ko muntashir kar de

    mire vajūd ko phir mere ḳhatt-o-ḳhāl meñ rakh

    phir us ke ba.ad hunar dekh mo.jizā.ī ke

    is badan ko mire dast-e-ittisāl meñ rakh

    mujh se māñgnā phir mere roz-o-shab hisāb

    ai haal haal mire mujh ko mere haal meñ rakh

    burīda-sar ko sajā de fasīl-e-neza par

    darīda jism ko phir arsa-e-qitāl meñ rakh

    ye dard terī amānat hai so ise sambhāl

    ye merā dil hai ise qarya-e-malāl meñ rakh

    tujhe ġhurūr hai maiñ bhī balā ziddī huuñ

    ai merī jaan is baat ko ḳhayāl meñ rakh

    sunā hai tujh ko bhī hai sher-o-shā.erī se shaġhaf

    mere sher ko phir 'shāhid' misāl meñ rakh

    ai zauq arz-e-hunar harf-e-e'tidal mein rakh

    main ek jawab hun mujhi ko mere sawal mein rakh

    nuqush-e-KHak-e-badan ko tu muntashir kar de

    mere wajud ko phir mere KHatt-o-KHal mein rakh

    phir us ke baad hunar dekh mojizai ke

    tu is badan ko mere dast-e-ittisal mein rakh

    tu mujh se mangna phir mere roz-o-shab ka hisab

    ai haal haal mere mujh ko mere haal mein rakh

    burida-sar ko saja de fasil-e-neza par

    darida jism ko phir arsa-e-qital mein rakh

    ye dard teri amanat hai so ise tu sambhaal

    ye mera dil hai ise qarya-e-malal mein rakh

    tujhe ghurur hai main bhi bala ka ziddi hun

    ai meri jaan tu is baat ko KHayal mein rakh

    suna hai tujh ko bhi hai sher-o-shaeri se shaghaf

    tu mere sher ko phir 'shahid' misal mein rakh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now