Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai zulf uske munh se tu to lipaT rahi hai

Joshish Azimabadi

ai zulf uske munh se tu to lipaT rahi hai

Joshish Azimabadi

MORE BYJoshish Azimabadi

    ai zulf us ke muñh se to lipaT rahī hai

    gesū ko kāTiyo mat vo aap kaT rahī hai

    ho kis tarah mayassar us bahr husn sair

    abrū ek kashtī so bhī ulaT rahī hai

    dil dene haqīqat ham ḳhuub jānte haiñ

    hai ġham kisī us ko jo zulf laT rahī hai

    mahrūm ham haiñ is mehmāñ-sarā meñ varna

    kis kis tarah ne.amat ḳhilqat ko baT rahī hai

    ḳhālī nahīñ ḳhalal se 'joshish' ye ḳhaibar-e-dil

    din raat mauj ġham is se chimaT rahī hai

    ai zulf us ke munh se tu to lipaT rahi hai

    gesu ko kaTiyo mat wo aap kaT rahi hai

    ho kis tarah mayassar us bahr husn ki sair

    abru ki ek kashti so bhi ulaT rahi hai

    dil dene ki haqiqat hum KHub jaante hain

    hai gham kisi ka us ko jo zulf laT rahi hai

    mahrum hum hi hain is mehman-sara mein warna

    kis kis tarah ki neamat KHilqat ko baT rahi hai

    KHali nahin KHalal se 'joshish' ye KHaibar-e-dil

    din raat mauj gham ki is se chimaT rahi hai

    Source:

    Deewan-e-Joshish(Rekhta Website) (Pg. 262)

      • Edition: 1976
      • Publisher: Bihar Urdu Academy, Patna
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now