Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ain lazim hai tabaddul ka numayan hona

Abrar Kiratpuri

ain lazim hai tabaddul ka numayan hona

Abrar Kiratpuri

MORE BYAbrar Kiratpuri

    ain lāzim hai tabaddul numāyāñ honā

    aa.ina dekh rahā hai mirā hairāñ honā

    dekh phir un ke taġhāful chalī purvā.ī

    ai mire zaḳhm-e-jigar aur daraḳhshāñ honā

    ‘ahd-e-nau to basārat bhī huī āvāra

    īd-e-nazzāra huā husn 'uryāñ honā

    hosh-mandī ke to ye bas nahīñ hai shāyad

    ai junūñ siikh le shā.ista-e-tūfāñ honā

    ham kahāñ kab kisī insān ke gun gaate the

    husn-e-jānāñ ne sikhāyā hai ġhazal-ḳhvāñ honā

    ab nahīñ is ke sivā merā koī kaam 'abrār'

    dekhnā fard-e-gunah apnī pashemāñ honā

    ain lazim hai tabaddul ka numayan hona

    aaina dekh raha hai mera hairan hona

    dekh phir un ke taghaful ki chali purwai

    ai mere zaKHm-e-jigar aur daraKHshan hona

    ‘ahd-e-nau ki to basarat bhi hui aawara

    id-e-nazzara hua husn ka 'uryan hona

    hosh-mandi ke to ye bas ka nahin hai shayad

    ai junun sikh le shaista-e-tufan hona

    hum kahan kab kisi insan ke gun gate the

    husn-e-jaanan ne sikhaya hai ghazal-KHwan hona

    ab nahin is ke siwa mera koi kaam 'abrar'

    dekhna fard-e-gunah apni pasheman hona

    Source:

    Kaghazi Hai Pairahan (Pg. 41)

    • Author: Abrar Kiratpuri
      • Publisher: Markaz Ilm-o-Danish, New Delhi
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now