ain mashhur hai tera ye chalan rah-guzar
'ain mash.hūr hai terā ye chalan rāh-guzar
har musāfir ko milī tujh se thakan rāh-guzar
sā.ebāñ sar pe shajar koī na saayā koī
aur phir us pe ye sūraj kī tapan rāh-guzar
ab karam koī to farmā ki sukūñ aa jaa.e
kaise kam ho mire talvoñ kī jalan rāh-guzar
aap rahbar huuñ mirā qāfila-sālār bhī maiñ
baḌhte jaate haiñ mire paañv magan rāhguzar
chalte chalte maiñ bahut duur nikal aayā huuñ
jaane kis or hai ye bāġh-e-‘adan rāh-guzar
kah zarā bād-e-sabā se ki uḌā le jaa.e
le ke baiThā huuñ maiñ miTTī kā badan rāh-guzar
dil ko dhaḌkā sā lagā hai na kahīñ bhar jaa.e
ab to ristā bhī nahīñ zaḳhm-e-kuhan rāh-guzar
ham yuuñ nikle the ki juuñ sair-e-chaman ko nikle
sū-e-maqtal jo chale sar-ba-kafan rāhguzar
gāmzan aise safar par thā 'karan' bil-āḳhir
us kī manzil thī faqat dār-o-rasan rāh-guzar
'ain mashhur hai tera ye chalan rah-guzar
har musafir ko mili tujh se thakan rah-guzar
saeban sar pe shajar koi na saya koi
aur phir us pe ye suraj ki tapan rah-guzar
ab karam koi to farma ki sukun aa jae
kaise kam ho mere talwon ki jalan rah-guzar
aap rahbar hun mera qafila-salar bhi main
baDhte jate hain mere panw magan rahguzar
chalte chalte main bahut dur nikal aaya hun
jaane kis or hai ye bagh-e-‘adan rah-guzar
kah zara baad-e-saba se ki uDa le jae
le ke baiTha hun main miTTi ka badan rah-guzar
dil ko dhaDka sa laga hai na kahin bhar jae
ab to rista bhi nahin zaKHm-e-kuhan rah-guzar
hum yun nikle the ki jun sair-e-chaman ko nikle
su-e-maqtal jo chale sar-ba-kafan rahguzar
gamzan aise safar par tha 'karan' bil-aKHir
us ki manzil thi faqat dar-o-rasan rah-guzar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.