Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aisa jadu kiya baat hi baat mein

Maqsood Ahmad Maqsood

aisa jadu kiya baat hi baat mein

Maqsood Ahmad Maqsood

MORE BYMaqsood Ahmad Maqsood

    aisā jaadū kiyā baat baat meñ

    niiñd aatī nahīñ ab mujhe raat meñ

    kaun shā.ir tire husn aañch ko

    Dhaal paayā kabhī apne naġhmāt meñ

    bhīnī bhīnī vo ḳhushbū tire zulf

    aa jaatī hai mere ḳhayālāt meñ

    koī shā.ir nahīñ bas tujhe dekh kar

    lahr uThne lagī mere jazbāt meñ

    nahīñ to shafaq meñ bhī surḳhī nahīñ

    phuul bhī ho ga.e zard bāġhāt meñ

    tere 'maqsūd' hai ye hasrat faqat

    dekh le tujh ko ruḳhsat ke lamhāt meñ

    aisa jadu kiya baat hi baat mein

    nind aati nahin ab mujhe raat mein

    kaun shair tere husn ki aanch ko

    Dhaal paya kabhi apne naghmat mein

    bhini bhini wo KHushbu tere zulf ki

    aa hi jati hai mere KHayalat mein

    koi shair nahin bas tujhe dekh kar

    lahr uThne lagi mere jazbaat mein

    tu nahin to shafaq mein bhi surKHi nahin

    phul bhi ho gae zard baghat mein

    tere 'maqsud' ki hai ye hasrat faqat

    dekh le tujh ko ruKHsat ke lamhat mein

    Source:

    Rafaqat Ki Khushbu (Pg. 48)

    • Author: Maqsood Ahmad Maqsood
      • Publisher: Peer Mohammad Shah
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now