Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aisa lagta hai dabe panw qaza aati hai

Ameer Imam

aisa lagta hai dabe panw qaza aati hai

Ameer Imam

MORE BYAmeer Imam

    aisā lagtā hai dabe paañv qazā aatī hai

    jab kabhī dil ke dhaḌakne sadā aatī hai

    dam ghuT jaa.e mirī zaat ke zindāñ meñ mirā

    bas tirī yaad ke rauzan se havā aatī hai

    dhuup se shaam dīvār banā letā huuñ

    raat har roz vo dīvār girā aatī hai

    ab ka.ī din nahīñ aatī tirī ḳhushbū mujh se

    aur jab aatī hai to had se sivā aatī hai

    āsmāñ oḌhūñ to kuchh baat banegī shāyad

    varna is tan pe kahāñ koī qabā aatī hai

    dil tanhā.ī kyā haal bayāñ ho tum se

    itnī tanhā.ī ki ḳhushbū-e-ḳhudā aatī hai

    aisa lagta hai dabe panw qaza aati hai

    jab kabhi dil ke dhaDakne ki sada aati hai

    dam hi ghuT jae meri zat ke zindan mein mera

    bas teri yaad ke rauzan se hawa aati hai

    dhup se sham ki diwar bana leta hun

    raat har roz wo diwar gira aati hai

    ab kai din nahin aati teri KHushbu mujh se

    aur jab aati hai to had se siwa aati hai

    aasman oDhun to kuchh baat banegi shayad

    warna is tan pe kahan koi qaba aati hai

    dil ki tanhai ka kya haal bayan ho tum se

    itni tanhai ki KHushbu-e-KHuda aati hai

    Source:

    Subh Bakhair Zindagi (Pg. 35)

    • Author: Ameer Imam
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now