aisa mat kah ki yahan tu ghalati se aaya
aisā mat kah ki yahāñ tū ġhalatī se aayā
dil vo hujra hai jahāñ ġham bhī ḳhushī se aayā
ḳhāmushī aa.ī darīda-dahanī se terī
dekhnā mujh ko tirī kam-nazarī se aayā
fat.h-mandī kā jo ik rang hai is chehre par
surḳh-rūī se nahīñ dil-shikanī se aayā
varna rāheñ to mirī samt ka.ī aatī thiiñ
us ko 'ujlat thī so be-rāh-ravī se aayā
ab koī rok rahā ho to maiñ ruk jaatā huuñ
mujh meñ ye vasf ġharīb-ul-vatanī se aayā
maut kā ḳhauf baḌā ḳhauf hai lekin 'javvād'
jo mujhe us kī tavajjoh meñ kamī se aayā
aisa mat kah ki yahan tu ghalati se aaya
dil wo hujra hai jahan gham bhi KHushi se aaya
KHamushi aai darida-dahani se teri
dekhna mujh ko teri kam-nazari se aaya
fath-mandi ka jo ek rang hai is chehre par
surKH-rui se nahin dil-shikani se aaya
warna rahen to meri samt kai aati thin
us ko 'ujlat thi so be-rah-rawi se aaya
ab koi rok raha ho to main ruk jata hun
mujh mein ye wasf gharib-ul-watani se aaya
maut ka KHauf baDa KHauf hai lekin 'jawwad'
jo mujhe us ki tawajjoh mein kami se aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.