Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aisa mumkin hi nahin tha main pukara jata

Afzal Safi

aisa mumkin hi nahin tha main pukara jata

Afzal Safi

MORE BYAfzal Safi

    aisā mumkin nahīñ thā maiñ pukārā jaatā

    maiñ na jaatā to koī aur maarā jaatā

    lazzat-e-vasl se achchhī thī vo girya-zārī

    ab to is jiit se behtar thā maiñ haarā jaatā

    ibn-e-ādam huuñ sar-andīp ke sāhil pe khaḌā

    merī ḳhātir koī duniyā meñ utārā jaatā

    us āñkhoñ se paḌhe the jo sahīfe maiñ ne

    un sahīfoñ se koī naqsh ubhārā jaatā

    ham junūñ-ḳhez marāhil se na guzre varna

    ham jidhar jaate udhar vaqt dhārā jaatā

    sunñā chāhoge fanā hote hue shaḳhs ḳhvāb

    jis hasrat thī tire naam pe vaarā jaatā

    gar Dubotā vo mujhe ḳhud bhī na bachtā dariyā

    maiñ jo tūfān meñ Dhaltā to kināra jaatā

    'ishq vāloñ se nisbat mirī likkhī jaatī

    terī galiyoñ meñ 'safī' kaash guzārā jaatā

    aisa mumkin hi nahin tha main pukara jata

    main na jata to koi aur hi mara jata

    lazzat-e-wasl se achchhi thi wo girya-zari

    ab to is jit se behtar tha main haara jata

    ibn-e-adam hun sar-andip ke sahil pe khaDa

    meri KHatir koi duniya mein utara jata

    us ki aankhon se paDhe the jo sahife main ne

    un sahifon se koi naqsh ubhaara jata

    hum junun-KHez marahil se na guzre warna

    hum jidhar jate udhar waqt ka dhaara jata

    sunna chahoge fana hote hue shaKHs ka KHwab

    jis ki hasrat thi tere nam pe wara jata

    gar Dubota wo mujhe KHud bhi na bachta dariya

    main jo tufan mein Dhalta to kinara jata

    'ishq walon hi se nisbat meri likkhi jati

    teri galiyon mein 'safi' kash guzara jata

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now