aisa to kaenat mein koi bashar nahin
aisā to kā.enāt meñ koī bashar nahīñ
jis par tumhāre lutf-o-karam kī nazar nahīñ
jis hādse ne aap ko ham se milā diyā
us hādse kī aap ko shāyad ḳhabar nahīñ
ab to har ek gaam pe tum mere saath ho
ab mujh ko fikr-e-gardish-e-shām-o-sahar nahīñ
naqsh-e-qadam pe aap ke rakhtā huuñ maiñ nazar
us ke sivā to koī mirā rāhbar nahīñ
bas aarzū yahī hai tirā ġham nasīb ho
dil meñ hamāre ārzū-e-sīm-o-zar nahīñ
ahl-e-ḳhirad kī baat kā 'āshiq' yaqīn kyā
vaise bhī un kī baat koī mo'tabar nahīñ
aisa to kaenat mein koi bashar nahin
jis par tumhaare lutf-o-karam ki nazar nahin
jis hadse ne aap ko hum se mila diya
us hadse ki aap ko shayad KHabar nahin
ab to har ek gam pe tum mere sath ho
ab mujh ko fikr-e-gardish-e-sham-o-sahar nahin
naqsh-e-qadam pe aap ke rakhta hun main nazar
us ke siwa to koi mera rahbar nahin
bas aarzu yahi hai tera gham nasib ho
dil mein hamare aarzu-e-sim-o-zar nahin
ahl-e-KHirad ki baat ka 'ashiq' yaqin kya
waise bhi un ki baat koi mo'tabar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.