Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajab asbab karta ja raha hun

Jaleel 'Aali'

ajab asbab karta ja raha hun

Jaleel 'Aali'

MORE BYJaleel 'Aali'

    ajab asbāb kartā rahā huuñ

    lahū sīmāb kartā rahā huuñ

    maiñ apnī mauj meñ ik raqs-e-dīgar

    sar-e-girdāb kartā rahā huuñ

    azal se jāgtī āñkhoñ jahāñ meñ

    basar ik ḳhvāb kartā rahā huuñ

    sar-e-mizhgāñ ubhartā hai jo taarā

    use mahtāb kartā rahā huuñ

    jo dil ik umr se banjar paḌe the

    unheñ sairāb kartā rahā huuñ

    maiñ rāh-e-shauq har kañkarī ko

    dur-e-nāyāb kartā rahā huuñ

    vo ejāz-e-suḳhan baḳhshā hai us ne

    chaTāneñ aab kartā rahā huuñ

    ajab asbab karta ja raha hun

    lahu simab karta ja raha hun

    main apni mauj mein ek raqs-e-digar

    sar-e-girdab karta ja raha hun

    azal se jagti aankhon jahan mein

    basar ek KHwab karta ja raha hun

    sar-e-mizhgan ubharta hai jo tara

    use mahtab karta ja raha hun

    jo dil ek umr se banjar paDe the

    unhen sairab karta ja raha hun

    main rah-e-shauq ki har kankari ko

    dur-e-nayab karta ja raha hun

    wo ejaz-e-suKHan baKHsha hai us ne

    chaTanen aab karta ja raha hun

    Source:

    Funoon (Monthly) (Pg. 542)

    • Author: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Edition: 25Edition Nov. Dec. 1986
      • Publisher: 4 Maklood Road, Lahore
      • Year of Publication: 25Edition Nov. Dec. 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now