Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajab hai pyar ke badle ka ab chalan yaro

Shaghil Adeeb

ajab hai pyar ke badle ka ab chalan yaro

Shaghil Adeeb

MORE BYShaghil Adeeb

    ajab hai pyaar ke badle ab chalan yaaro

    hai zaḳhm zaḳhm se chhalnī mirā badan yaaro

    darīda-pairahanī apnī hai bahut ham ko

    bahār le lo tumhīñ le lo ab chaman yaaro

    tumhāre lab pe khilā ḳhanda sab ne dekhā hai

    magar hamīñ ne hai dekhā tumhārā man yaaro

    parā.e des begānagī ko kyā ro.eñ

    the ham to apne vatan meñ bhī be-vatan yaaro

    hamārī baat hai mub.ham ye sach nahīñ lekin

    tumhīñ se sīkhe koī baat ye fan yaaro

    hameñ chhupā na sakī maslahat tārīkī

    hamīñ se aaj hai raushan har anjuman yaaro

    ‘adīb’-dostī 'shāġhil'-navāzī us ḳhuub

    dakan den hai merā vaqār-e-fan yaaro

    ajab hai pyar ke badle ka ab chalan yaro

    hai zaKHm zaKHm se chhalni mera badan yaro

    darida-pairahani apni hai bahut hum ko

    bahaar le lo tumhin le lo ab chaman yaro

    tumhaare lab pe khila KHanda sab ne dekha hai

    magar hamin ne hai dekha tumhaara man yaro

    parae des ki beganagi ko kya roen

    the hum to apne watan mein bhi be-watan yaro

    hamari baat hai mubham ye sach nahin lekin

    tumhin se sikhe koi baat ka ye fan yaro

    hamein chhupa na saki maslahat ki tariki

    hamin se aaj hai raushan har anjuman yaro

    ‘adib’-dosti 'shaghil'-nawazi us ki KHub

    dakan ki den hai mera waqar-e-fan yaro

    Source:

    Shairi Hisse Mein Aai Hai (Pg. 48)

    • Author: Shaghil Adeeb
      • Publisher: Nairang-e-Adab Publications, Hyderabad
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now