Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajab kashmakash hai ajab hai kashakash ye kya bich mein hai hamare tumhaare

Deepti Mishra

ajab kashmakash hai ajab hai kashakash ye kya bich mein hai hamare tumhaare

Deepti Mishra

MORE BYDeepti Mishra

    ajab kashmakash hai ajab hai kashākash ye kyā biich meñ hai hamāre tumhāre

    zarūrat zarūrat zarūrat zarūrat zarūrat ḳhātir marāsim haiñ saare

    haiñ chāroñ taraf bahut log lekin haqīqat meñ koī bhī apnā nahīñ hai

    dikhāvā dikhāvā sabhī kuchh dikhāvā dikhāve meñ jiite haiñ saare ke saare

    bulandī pe jin ko bhī dekhā ye paayā sabhī aasrā DhūñDte phir rahe haiñ

    kise sarparastī ke qābil samajhiye jiye rahe haiñ ḳhud apne sahāre

    sabhī apnī apnī kahe rahe haiñ hameñ ham se chhīne liye rahe haiñ

    hameñ apnī ḳhātir bhī rahne do thoḌā nahīñ koī apnā sivā ab hamāre

    hameñ apnī zad meñ rahnā paḌegā ḳhudī ko ḳhudī meñ Dubonā paḌegā

    na aape se bāhar aanā samundar samundar ko samjhā rahe haiñ kināre

    faqat dūriyoñ meñ saarī kashish hai ki nazdīkiyoñ se bharam TūTte haiñ

    falak pe chamaknā hai qismat hamārī zamīñ se ye kahte haiñ TuuTe sitāre

    ye jhūTe se rishte ye farzī se naate kahāñ tak nibhā.eñ kahāñ tak nibhā.eñ

    bahut ho chukā bas bahut ho chukā ab koī to baḌhe ye makhoTe utāre

    ajab kashmakash hai ajab hai kashakash ye kya bich mein hai hamare tumhaare

    zarurat zarurat zarurat zarurat zarurat ki KHatir marasim hain sare

    hain chaaron taraf hi bahut log lekin haqiqat mein koi bhi apna nahin hai

    dikhawa dikhawa sabhi kuchh dikhawa dikhawe mein jite hain sare ke sare

    bulandi pe jin ko bhi dekha ye paya sabhi aasra DhunDte phir rahe hain

    kise sarparasti ke qabil samajhiye jiye ja rahe hain KHud apne sahaare

    sabhi apni apni kahe ja rahe hain hamein hum se chhine liye ja rahe hain

    hamein apni KHatir bhi rahne do thoDa nahin koi apna siwa ab hamare

    hamein apni zad mein hi rahna paDega KHudi ko KHudi mein Dubona paDega

    na aape se bahar tu aana samundar samundar ko samjha rahe hain kinare

    faqat duriyon mein hi sari kashish hai ki nazdikiyon se bharam TuTte hain

    falak pe chamakna hai qismat hamari zamin se ye kahte hain TuTe sitare

    ye jhuTe se rishte ye farzi se nate kahan tak nibhaen kahan tak nibhaen

    bahut ho chuka bas bahut ho chuka ab koi to baDhe ye makhoTe utare

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now