Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajab kya hausle ai dil hamare TuT jate hain

Abdur Rasheed Qamar

ajab kya hausle ai dil hamare TuT jate hain

Abdur Rasheed Qamar

MORE BYAbdur Rasheed Qamar

    ajab kyā hausle ai dil hamāre TuuT jaate haiñ

    itāb-e-gardish-e-daurāñ se taare TuuT jaate haiñ

    huī haiñ reza reza ḳhud chaTTāneñ ham se Takrā ke

    magar ham dekh kar aañsū tumhāre TuuT jaate haiñ

    maiñ chāhūñ muskurānā to chhalak jaate haiñ ab aañsū

    ki aksar sail-e-dariyā se kināre TuuT jaate haiñ

    nasīhat ai mirī beTī hamesha dhyān meñ rakhnā

    sahāroñ par na takiya ho sahāre TuuT jaate haiñ

    'qamar' is bazm-e-duniyā se nibhā.eñ apnā rishta kyā

    jo TuuTī saañs to rishte saare TuuT jaate haiñ

    ajab kya hausle ai dil hamare TuT jate hain

    itab-e-gardish-e-dauran se tare TuT jate hain

    hui hain reza reza KHud chaTTanen hum se Takra ke

    magar hum dekh kar aansu tumhaare TuT jate hain

    main chahun muskurana to chhalak jate hain ab aansu

    ki aksar sail-e-dariya se kinare TuT jate hain

    nasihat ai meri beTi hamesha dhyan mein rakhna

    sahaaron par na takiya ho sahaare TuT jate hain

    'qamar' is bazm-e-duniya se nibhaen apna rishta kya

    jo TuTi sans to rishte hi sare TuT jate hain

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 365)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now