ajab mushkil hai aasani bahut hai
ajab mushkil hai āsānī bahut hai
mohabbat meñ pashemānī bahut hai
nigāh-e-shauq rusvā ho rahī hai
nazar meñ aaj uryānī bahut hai
mire jazbāt kab ke mar chuke haiñ
mirā dil dekh jismānī bahut hai
vafā ke naam se mansūb hai jo
us ik mahfil meñ vīrānī bahut hai
nahīñ āsān ulfat kā safar ye
junūñ hai aag hai paanī bahut hai
bhale hī ham-safar mat bol mujh ko
zarā sā dekh le jaanī bahut hai
parakhnā mat kisī ko ilm se ab
paḌhe-likkhoñ meñ nādānī bahut hai
ajab mushkil hai aasani bahut hai
mohabbat mein pashemani bahut hai
nigah-e-shauq ruswa ho rahi hai
nazar mein aaj uryani bahut hai
mere jazbaat kab ke mar chuke hain
mera dil dekh jismani bahut hai
wafa ke nam se mansub hai jo
us ek mahfil mein virani bahut hai
nahin aasan ulfat ka safar ye
junun hai aag hai pani bahut hai
bhale hi ham-safar mat bol mujh ko
zara sa dekh le jaani bahut hai
parakhna mat kisi ko ilm se ab
paDhe-likkhon mein nadani bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.