Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajab rang-e-tilism-o-tarz-e-nau hai

Daniyal Tareer

ajab rang-e-tilism-o-tarz-e-nau hai

Daniyal Tareer

MORE BYDaniyal Tareer

    'ajab rañg-e-tilism-o-tarz-e-nau hai

    diyā hai aag miTTī lau hai

    mujhe sun leñgī to dekheñgī āñkheñ

    mirī āvāz meñ sūraj zau hai

    rikāb aur baag qaabū meñ nahīñ haiñ

    ye asp-e-vaqt kitnā tez-rau hai

    mirī tā'rīf ke haiñ do havāle

    qadam aflāk par muTThī meñ jau hai

    nahīñ hai hurriyat koī qīmat

    magar piñjre qīmat chaar sau hai

    maiñ kyā hariyāliyoñ aas bāñdhūñ

    zamīñ ke saath sapnā bhī giro hai

    'tarīr' aañsū haiñ aur dhundlāhaTeñ haiñ

    ye kaisī kahkashāoñ jilau hai

    'ajab rang-e-tilism-o-tarz-e-nau hai

    diya hai aag ka miTTi ki lau hai

    mujhe sun lengi to dekhengi aankhen

    meri aawaz mein suraj ki zau hai

    rikab aur bag qabu mein nahin hain

    ye asp-e-waqt kitna tez-rau hai

    meri ta'rif ke hain do hawale

    qadam aflak par muTThi mein jau hai

    nahin hai hurriyat ki koi qimat

    magar pinjre ki qimat chaar sau hai

    main kya hariyaliyon ki aas bandhun

    zamin ke sath sapna bhi giro hai

    'tarir' aansu hain aur dhundlahaTen hain

    ye kaisi kahkashaon ki jilau hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now