Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajab si aaj-kal main ek pareshani mein hun yaro

Vineet Aashna

ajab si aaj-kal main ek pareshani mein hun yaro

Vineet Aashna

MORE BYVineet Aashna

    ajab āj-kal maiñ ik pareshānī meñ huuñ yaaro

    yahī mushkil merī hai bas maiñ āsānī meñ huuñ yaaro

    mujhe un jhiil āñkhoñ meñ yuuñ bhī Dūbnā hai

    na pūchho bārhā kitne meñ ab paanī meñ huuñ yaaro

    na sūrat vasl koī na koī hijr ġham hai

    maiñ ab ke baar kuchh aisī vīrānī meñ huuñ yaaro

    mujhe lagtā thā mumkin nahīñ hai us ke bin jiinā

    maiñ zinda huuñ magar muddat se hairānī meñ huuñ yaaro

    badan pairahan chhoTā mujhe paḌne lagā itnā

    maiñ khul kar saañs lene ko bhī uryānī meñ huuñ yaaro

    ḳhudā ne rakh diyā mujh ko usī ke dil meñ jaane kyuuñ

    na bāhoñ meñ huuñ maiñ jis na peshānī meñ huuñ yaaro

    usī ik 'āshnā' ko DhūñDhtī har pal mirī āñkheñ

    maiñ rahtā rāt-din jis nigahbānī meñ huuñ yaaro

    ajab si aaj-kal main ek pareshani mein hun yaro

    yahi mushkil meri hai bas main aasani mein hun yaro

    mujhe un jhil si aankhon mein yun bhi Dubna hi hai

    na puchho barha kitne mein ab pani mein hun yaro

    na surat wasl ki koi na koi hijr ka gham hai

    main ab ke bar kuchh aisi hi virani mein hun yaro

    mujhe lagta tha mumkin hi nahin hai us ke bin jina

    main zinda hun magar muddat se hairani mein hun yaro

    badan ka pairahan chhoTa mujhe paDne laga itna

    main khul kar sans lene ko bhi uryani mein hun yaro

    KHuda ne rakh diya mujh ko usi ke dil mein jaane kyun

    na bahon mein hun main jis ki na peshani mein hun yaro

    usi ek 'ashna' ko DhunDhti har pal meri aankhen

    main rahta raat-din jis ki nigahbani mein hun yaro

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now