ajib dasht-e-junun tha guman se aage bhi

ajib dasht-e-junun tha guman se aage bhi
Munawwar Tabish Sambhali
MORE BYMunawwar Tabish Sambhali
'ajīb dasht-e-junūñ thā gumāñ se aage bhī
ġhubār uḌtā rahā kārvāñ se aage bhī
sukūñ milā hai diloñ ko to āstāñ se tire
sukūñ milegā tire āstāñ se aage bhī
qadam qadam pe diloñ ko milātī aa.ī hai
yahī tavaqqo' hai urdu zabāñ se aage bhī
mire ḳhayāl ko jur.at ke par 'atā kar de
maiñ chāhtā huuñ uḌuuñ āsmāñ se aage bhī
yaqīñ kī raah pe chaltā hai raat din 'tābish'
tirā karam hai numāyāñ gumāñ se aage bhī
'ajib dasht-e-junun tha guman se aage bhi
ghubar uDta raha karwan se aage bhi
sukun mila hai dilon ko to aastan se tere
sukun milega tere aastan se aage bhi
qadam qadam pe dilon ko milati aai hai
yahi tawaqqo' hai urdu zaban se aage bhi
mere KHayal ko jurat ke par 'ata kar de
main chahta hun uDun aasman se aage bhi
yaqin ki rah pe chalta hai raat din 'tabish'
tera karam hai numayan guman se aage bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.