Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajib daur hai ahl-e-hunar nahin aate

Mahir Abdul Hayee

ajib daur hai ahl-e-hunar nahin aate

Mahir Abdul Hayee

MORE BYMahir Abdul Hayee

    ajiib daur hai ahl-e-hunar nahīñ aate

    pidar ilm liye ab pisar nahīñ aate

    havā ke jhoñke bhī le kar ḳhabar nahīñ aate

    jo ghar se jaate haiñ phir lauT kar nahīñ aate

    hazār shāḳh-e-tamannā dekh-bhāl karo

    ye shāḳh vo hai ki jis par samar nahīñ aate

    samajh sakeñge na merī guzar-basar ko huzūr

    sunahre taḳht se jab tak utar nahīñ aate

    ham un samt chaleñ kis tarah se mīloñ-mīl

    hamārī samt jo bālisht-bhar nahīñ aate

    janāb-e-shaiḳh ke hujre se duur rahiye

    farishte aate haiñ is meñ bashar nahīñ aate

    savāl na thā dushman fath-yābī

    hamārī saf meñ munāfiq agar nahīñ aate

    na jaane kis nazar lag ga.ī zamāne ko

    ki phuul chehre shagufta nazar nahīñ aate

    vo din ga.e ki koī ḳhvāb ham ko taḌpā.e

    ab aise ḳhvāb hameñ rāt-bhar nahīñ aate

    ham un raah meñ āñkheñ bichhā.eñ kyuuñ 'māhir'

    jo āsmāñ se sar-e-rah-guzar nahīñ aate

    ajib daur hai ahl-e-hunar nahin aate

    pidar ka ilm liye ab pisar nahin aate

    hawa ke jhonke bhi le kar KHabar nahin aate

    jo ghar se jate hain phir lauT kar nahin aate

    hazar shaKH-e-tamanna ki dekh-bhaal karo

    ye shaKH wo hai ki jis par samar nahin aate

    samajh sakenge na meri guzar-basar ko huzur

    sunahre taKHt se jab tak utar nahin aate

    hum un ki samt chalen kis tarah se milon-mil

    hamari samt jo baalisht-bhar nahin aate

    janab-e-shaiKH ke hujre se dur hi rahiye

    farishte aate hain is mein bashar nahin aate

    sawal hi na tha dushman ki fath-yabi ka

    hamari saf mein munafiq agar nahin aate

    na jaane kis ki nazar lag gai zamane ko

    ki phul chehre shagufta nazar nahin aate

    wo din gae ki koi KHwab hum ko taDpae

    ab aise KHwab hamein raat-bhar nahin aate

    hum un ki rah mein aankhen bichhaen kyun 'mahir'

    jo aasman se sar-e-rah-guzar nahin aate

    Source:

    Hari Sonahri Khak (Ghazal) (Pg. 145)

    • Author: Mahir Abdul Hayee
      • Edition: 2008
      • Publisher: Bazme-e-Urdu,Mau
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now