ajib dhup ke zer-e-asar raha hun main
'ajīb dhuup ke zer-e-asar rahā huuñ maiñ
shadīd chhāoñ meñ chalne se Dar rahā huuñ maiñ
pata haiñ rāstoñ ke saare pech-o-ḳham mujh ko
na jaane kitnoñ kā raḳht-e-safar rahā huuñ maiñ
hujūm-e-shahr kī rangīniyoñ se jhuñjhlā kar
junūñ meñ dasht ko ābād kar rahā huuñ maiñ
mire zavāl kī koī to had muqarrar kar
tirī nazar se musalsal utar rahā huuñ maiñ
abhī jo dekh ke hairān ho rahe ho tum
ga.ī rutoñ meñ bhī shorīda-sar rahā huuñ maiñ
balā kī shoḳh haiñ vo ā.ina-sifat āñkheñ
ki jin ke dekhne se ban-sañvar rahā huuñ maiñ
'ajib dhup ke zer-e-asar raha hun main
shadid chhaon mein chalne se Dar raha hun main
pata hain raston ke sare pech-o-KHam mujh ko
na jaane kitnon ka raKHt-e-safar raha hun main
hujum-e-shahr ki ranginiyon se jhunjhla kar
junun mein dasht ko aabaad kar raha hun main
mere zawal ki koi to had muqarrar kar
teri nazar se musalsal utar raha hun main
abhi jo dekh ke hairan ho rahe ho tum
gai ruton mein bhi shorida-sar raha hun main
bala ki shoKH hain wo aaina-sifat aankhen
ki jin ke dekhne se ban-sanwar raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.