Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajib dil mein mere aaj iztirab sa hai!

Baqar Mehdi

ajib dil mein mere aaj iztirab sa hai!

Baqar Mehdi

MORE BYBaqar Mehdi

    ajiib dil meñ mire aaj iztirāb hai!

    khulī hai aañkh samundar bhī ek ḳhvāb hai!

    Thahar Thahar ke bajātā hai koī sāzīna

    maiñ kyā karūñ mire siine meñ ik rubāb hai!

    bujhegī pyaas mirī zahr-e-āgahī se kabhī

    mire dayār meñ us mazā sharāb hai!

    maiñ kyuuñ kisī se sar-e-rāh rahbarī māñgūñ?

    na.ī hai manzil-e-ġham ik yahī javāb hai!

    chamaktī ret se rah rah ke uTh rahī navā

    koī mazār thā pahle ki ab sarāb hai!

    hadaf banā ke na rusvā karo zamāne meñ

    ġharīb-e-shahr huuñ rutba mirā janāb hai!

    maiñ chhoḌ aayā huuñ muddat huī ġharībī ko

    ye merā saaya baḌā ḳhānumāñ-ḳharāb hai!

    na jaane kaise maiñ sail-e-ravāñ se bach niklā?

    ye zindagī tamāshā to ik habāb hai!

    maiñ kaise ḳhud ko samajh pā.ūñ be-kasī ye hai?

    ki ā.īna nahīñ aksoñ ik naqāb hai!

    nazar milā ke maiñ us se guzar gayā 'bāqar'

    na jaane mujh se ḳhafā ye ki lā-javāb hai!

    ajib dil mein mere aaj iztirab sa hai!

    khuli hai aankh samundar bhi ek KHwab sa hai!

    Thahar Thahar ke bajata hai koi sazina

    main kya karun mere sine mein ek rubab sa hai!

    bujhegi pyas meri zahr-e-agahi se kabhi

    mere dayar mein us ka maza sharab sa hai!

    main kyun kisi se sar-e-rah rahbari mangun?

    nai hai manzil-e-gham ek yahi jawab sa hai!

    chamakti ret se rah rah ke uTh rahi nawa

    koi mazar tha pahle ki ab sarab sa hai!

    hadaf bana ke na ruswa karo zamane mein

    gharib-e-shahr hun rutba mera janab sa hai!

    main chhoD aaya hun muddat hui gharibi ko

    ye mera saya baDa KHanuman-KHarab sa hai!

    na jaane kaise main sail-e-rawan se bach nikla?

    ye zindagi ka tamasha to ek habab sa hai!

    main kaise KHud ko samajh paun be-kasi ye hai?

    ki aaina nahin akson ka ek naqab sa hai!

    nazar mila ke main us se guzar gaya 'baqar'

    na jaane mujh se KHafa ye ki la-jawab sa hai!

    Source:

    Mujalla Dastavez (Pg. 299)

    • Author: Aziz Nabeel
      • Edition: 2010
      • Publisher: Edarah Dastavez
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now