Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajib karb-e-musalsal dil-o-nazar mein raha

Iffat Zarrin

ajib karb-e-musalsal dil-o-nazar mein raha

Iffat Zarrin

MORE BYIffat Zarrin

    ajiib karb-e-musalsal dil-o-nazar meñ rahā

    vo raushnī musāfir añdhere ghar meñ rahā

    vo chāñdnī muraqqa.a nahīñ thā jugnū thā

    charāġh ban ke jalā aur shajar shajar meñ rahā

    kahāvatoñ tarah vo bhī shahr-e-ma.anī thā

    bujhā bujhā diyā jo kisī khañDar meñ rahā

    vo jis ko khoj sarāboñ meñ thī samundar

    vo apne dasht-e-dil-o-jāñ rahguzar meñ rahā

    vahī to naqsh-e-qadam the jo saare miTte ga.e

    vo dāġh-e-sajda thā baaqī jo sañg-e-dar meñ rahā

    yahī tilism thā 'zarrīñ' jise na toḌ sakī

    vajūd us to taqdīr ke bhañvar meñ rahā

    ajib karb-e-musalsal dil-o-nazar mein raha

    wo raushni ka musafir andhere ghar mein raha

    wo chandni ka muraqqa nahin tha jugnu tha

    charagh ban ke jala aur shajar shajar mein raha

    kahawaton ki tarah wo bhi shahr-e-mani tha

    bujha bujha sa diya jo kisi khanDar mein raha

    wo jis ko khoj sarabon mein thi samundar ki

    wo apne dasht-e-dil-o-jaan ki rahguzar mein raha

    wahi to naqsh-e-qadam the jo sare miTte gae

    wo dagh-e-sajda tha baqi jo sang-e-dar mein raha

    yahi tilism tha 'zarrin' jise na toD saki

    wajud us ka to taqdir ke bhanwar mein raha

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 718)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now