ajib karb hai us shaKHs ke fasane mein
'ajīb karb hai us shaḳhs ke fasāne meñ
vo jis kī maut huī dostī nibhāne meñ
kabhī to rahmateñ itnī ki dil uchāT huā
kabhī tabāh kiyā ham ko āzmāne meñ
vuzū meñ haath ko dhote namāz paḌhte ham
koī charāġh to jaltā siyāh-ḳhāne meñ
mafāriqat kī batāo hai kaun sī manzil
ki ḳhud ko bhuul ga.e ham tujhe bhulāne meñ
mirā vujūd bhī ġhā.eb sā ho rahā hai kahīñ
yahī maiñ bhuul gayā vaqt ke churāne meñ
Tapak rahā hai lahū mere ghar ke chhappar se
ye baat kyoñ nahīñ shāmil mire fasāne meñ
tumhāre ghar meñ jo sūraj kī hai numūd 'shamīm'
ujālā baañT do sab raat ke gharāne meñ
'ajib karb hai us shaKHs ke fasane mein
wo jis ki maut hui dosti nibhane mein
kabhi to rahmaten itni ki dil uchaT hua
kabhi tabah kiya hum ko aazmane mein
wuzu mein hath ko dhote namaz paDhte hum
koi charagh to jalta siyah-KHane mein
mafariqat ki batao hai kaun si manzil
ki KHud ko bhul gae hum tujhe bhulane mein
mera wujud bhi ghaeb sa ho raha hai kahin
yahi main bhul gaya waqt ke churane mein
Tapak raha hai lahu mere ghar ke chhappar se
ye baat kyon nahin shamil mere fasane mein
tumhaare ghar mein jo suraj ki hai numud 'shamim'
ujala banT do sab raat ke gharane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.