Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajib rang tere husn ka lagaw mein tha

Ahmad Nadeem Qasmi

ajib rang tere husn ka lagaw mein tha

Ahmad Nadeem Qasmi

MORE BYAhmad Nadeem Qasmi

    ajiib rañg tire husn lagāv meñ thā

    gulāb jaise kaḌī dhuup ke alaav meñ thā

    hai jis yaad mirī fard-e-jurm surḳhī

    usī aks mire ek ek ghaav meñ thā

    yahāñ vahāñ se kināre mujhe bulāte rahe

    magar maiñ vaqt dariyā thā aur bahāv meñ thā

    urūs-e-gul ko sabā jaise gudgudā ke chalī

    kuchh aisā pyaar aalam tire subhāv meñ thā

    maiñ pur-sukūñ huuñ magar merā dil jāntā hai

    jo intishār mohabbat ke rakh-rakhāv meñ thā

    ġhazal ke ruup meñ tahzīb rahī thī 'nadīm'

    mirā kamāl mire fan ke is rachāv meñ thā

    ajib rang tere husn ka lagaw mein tha

    gulab jaise kaDi dhup ke alaw mein tha

    hai jis ki yaad meri fard-e-jurm ki surKHi

    usi ka aks mere ek ek ghaw mein tha

    yahan wahan se kinare mujhe bulate rahe

    magar main waqt ka dariya tha aur bahaw mein tha

    urus-e-gul ko saba jaise gudguda ke chali

    kuchh aisa pyar ka aalam tere subhaw mein tha

    main pur-sukun hun magar mera dil hi jaanta hai

    jo intishaar mohabbat ke rakh-rakhaw mein tha

    ghazal ke rup mein tahzib ga rahi thi 'nadim'

    mera kamal mere fan ke is rachaw mein tha

    Source:

    Khayaabaan (Pg. 109)

    • Author: Hassan Abbas Raza
      • Publisher: Bazm-e-Khayaabaan-e-adab, Pakistan
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now