Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajib shaKHs hai dharti pe aasman sa hai

Abdullah Kamal

ajib shaKHs hai dharti pe aasman sa hai

Abdullah Kamal

MORE BYAbdullah Kamal

    Interesting Fact

    1972

    ajiib shaḳhs hai dhartī pe āsmān hai

    ḳhudā maqām nahīñ phir bhī lā-makān hai

    uge jo sub.h sūraj to ik machine hai vo

    Dhale jo shaam to phir jism takān hai

    sukūt-e-dasht-e-tamannā hai us ko jā-e-panāh

    navāh-e-āriz-o-gesū meñ be-nishān hai

    barahna rahtā hai shamshīr-e-be-amāñ tarah

    har ek shaḳhs yahāñ us se bad-gumān hai

    uThā na pā.egā yak lamha-e-nashāt vajūd

    vo apnī teġh-e-nafas se lahūluhān hai

    nigāh-dār-e-falak tā-falak rahā vo 'kamāl'

    aur ab zamīn pe TuuTī huī kamān hai

    ajib shaKHs hai dharti pe aasman sa hai

    KHuda maqam nahin phir bhi la-makan sa hai

    uge jo subh ka suraj to ek machine hai wo

    Dhale jo sham to phir jism ki takan sa hai

    sukut-e-dasht-e-tamanna hai us ko ja-e-panah

    nawah-e-ariz-o-gesu mein be-nishan sa hai

    barahna rahta hai shamshir-e-be-aman ki tarah

    har ek shaKHs yahan us se bad-guman sa hai

    uTha na paega yak lamha-e-nashat wajud

    wo apni tegh-e-nafas se lahuluhan sa hai

    nigah-dar-e-falak ta-falak raha wo 'kamal'

    aur ab zamin pe TuTi hui kaman sa hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now