akasr raat gae tak main chaukhaT par baiTha rahta hun
akasr raat ga.e tak maiñ chaukhaT par baiThā rahtā huuñ
cigarette piitā chāñd ko taktā man meñ biktā rahtā huuñ
rack pe rakh kar bhuul gayā thā us ke chehre aisī kitāb
haath meñ jab aa jaatī hai to pahroñ paḌhtā rahtā huuñ
marmar kā patthar ban jaatī hai jab puure chāñd kī raat
apnī nazroñ kī chhīnī se mūrateñ ghaḌtā rahtā huuñ
āḳhirī show se lauTne vaale bhī ġhā.eb ho jaate haiñ
maiñ jaane kin tasvīroñ meñ kab tak khoyā rahtā huuñ
akasr raat gae tak main chaukhaT par baiTha rahta hun
cigarette pita chand ko takta man mein bikta rahta hun
rack pe rakh kar bhul gaya tha us ke chehre aisi kitab
hath mein jab aa jati hai to pahron paDhta rahta hun
marmar ka patthar ban jati hai jab pure chand ki raat
apni nazron ki chhini se muraten ghaDta rahta hun
aaKHiri show se lauTne wale bhi ghaeb ho jate hain
main jaane kin taswiron mein kab tak khoya rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.