Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

akela main hi nahin hijr ki sawari mein

Qamar Abbas Qamar

akela main hi nahin hijr ki sawari mein

Qamar Abbas Qamar

MORE BYQamar Abbas Qamar

    akelā maiñ hī nahīñ hijr kī savārī meñ

    kuchh aur log bhī shāmil haiñ shab-guzārī meñ

    nadī se kah do idhar tishnagī balā kī hai

    ye suukh jā.egī sahrā kī ābyārī meñ

    sipāh-e-shām nigāhoñ ko mat uThā lenā

    'alī kā sher hai ḳhemoñ kī pāsdārī meñ

    kaTe daraḳhtoñ kā maiñ ehtijāj dekhtā huuñ

    safed ḳhuun lagā hai tumhārī aarī meñ

    nikal ke aa jā pas-e-parda-e-tasavvur se

    ye do charāġh bhī haiñ soz-e-intizārī meñ

    ka.ī to miT ga.e kitne khañDar bane hue haiñ

    makān apne makīnoñ kī sogvārī meñ

    akela main hi nahin hijr ki sawari mein

    kuchh aur log bhi shamil hain shab-guzari mein

    nadi se kah do idhar tishnagi bala ki hai

    ye sukh jaegi sahra ki aabyari mein

    sipah-e-sham nigahon ko mat uTha lena

    'ali ka sher hai KHemon ki pasdari mein

    kaTe daraKHton ka main ehtijaj dekhta hun

    safed KHun laga hai tumhaari aari mein

    nikal ke aa ja pas-e-parda-e-tasawwur se

    ye do charagh bhi hain soz-e-intizari mein

    kai to miT gae kitne khanDar bane hue hain

    makan apne makinon ki sogwari mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now